MEDIA AND SOCIAL MEDIA DESTROYED OUR GENERATION

   

           Guzishta kae saalon se hum maghribi mumalik se bohot se culture or trends apnaty aye hain or in cultures ko apnany ka silsila media or social media k aam hony k baad or bhi tez hogya hai. In trends ya culture mein ek culture affairs yani girl friend or boyfriend ka h jo media k aam hony se phly pakistan mein itna common nhe tha jtna ab hogya hai . Phly ye trend university phr college k larky larkyon mein aam hua lekin abto schools mein secondary classes k sath ab primary classes 4,5 k bachy bhi is phelty huye trend se baaz nhe hain bl k ab to school k bachy bhi friendship k baad pehla sawal yahe krty hain
Do you have any boyfriend or girlfriend
Or ajkal agar kisi larky ya larki ka boyfriend ya girlfriend na hon to usy bht mayoob samjha jata hai or ajkal to  ek waqt me 3,4 affairs rakhny ko fakhar mehsoos kya jata hai. Larky to larky ajkal larkyon ne bhi in relationships ko timepass ka tareqa bnalya hai
Ek nahe to or sahe or nahe to or sahe or kch larkyan to larkon se balance, gifts waghera loot k unhe tata byebye kehdeti hain. Or kahen na kahen is phelty huye trend k lye hmara media qasoorwaar hai or social media k barhty huye rujhan ne to is barhty huye trend mein mazeed izafa krdya hai. Jahan social media ne l
ogon k darmyan faaslon ko mitaya hai wahen whatsapp,Facebook,Skype,viber,,messenger,snap chat etc deegar social websites k zarye naye dost bnana un k sath apni selfies ,videos share krna or video chat ko bhi behad asaan bnadya hai jo k ajkal dil behlany ka ek ahem zariya hai bl k ajkal to dosti, love, affairs waghera k lye fb pe alag pages, sites or apps bhi bnalye gye hain jahan pe naye friends bna kr dil behlana bht asaan hogya hai
        Ajkal ki in relationships ya affairs ko 3 categories mein divide kiya jasakta hai:
1)Simple affairs/Relationships
2)Sexual Relationships
3)Extra marital Relationships

1)SIMPLE RELATIONSHIPS:
     Ye simple affairs hoty hain in me dosti krna or phr date pe jana yani milna bht common hota hai. Ajkal to taqrebn public places dating point bngye hain parks,restaurant,Pizza hut,cafe etc bl k karachi me Quaid e Azam ka mazar bht common dating point hai. Kch nojawan to public places mein logon ka lihaz kye bina kissing or dusri mayoob harkaten shuru krdety hain un k zehnon se achy bury sahe ghlt ki tamez hi mit gae h. Kch log ye relationships apna dil behlany k lye bnaty hain or kch to bs timepass k lye baik waqt kae logon ko dhoky me rakh k sb k sath affairs chalaty hain. Kch logon ko in relationships me waqai mohabbat bhi hojati h unme se kch usy nibhaty hain or kch k dil toot jaty hain.

2)SEXUAL RELATIONSHIPS:
     Ajkal maghribi mumalik ki tarha Pakistan mein bhi bohot se larkon ka relationship bnany ka maqsad apni hawas puri krna ya apni jinsi hawas ko taskeen dena hota hai. Is silsily mein aj kal ek or chez jo bht common hogae hai wo phone sex hai or is hawas ki taskeen mein internet bhi ahem kirdaar ada kr raha hai. Ajkal dosti ka naam lekr doston k darmyan sharamnak hrkten kr k dosti k rishty ko bdnaam kya jaraha hai. Is hawas ki taskeen k baad dil bhar gya to Allah Hafiz keh kr dusra relation bnalya jata hai. Ajkal ye zehrela trend hamary muashry mein tezi se phel raha hai jsne nojawan nasal ko bigaarny mein koi kasar nahe chori.

3)EXTRA MARITAL AFFAIRS:
  Pehly shadi ko jewan bhar ka sath samjha jata tha lekin ajkal shadi k baad achanak ye ehsaas hony lagta hai k "We are not made for eachother" yahe ehsaas in affairs ki wajah bnta hai shadi k baad kisi se baat krlena ya affairs chala lene ko phly mard ki fitrat samjha jata tha lekin ajkal khawateen bhi ismein pechy nahe rahen. Ajkal to shadi k baad khawateen k affairs ki kahanyan bhi bohot zyada manzare aam per aany lagi hain kahen ksi orat k shadi k baad waqti ishq me mubtala ho kr ghr se bhaagny k qissy sunny ko milty hain to kahen koi divorce le kr bachon ko chor k apny aashiq k paas chali jati hain jo k srf waqti bukhar ek dikhawy ka pyar hota hai or jb thokar lagti h tb pachtany k siwa kch nhe bchta.


           Ye trend hmary muashry ki ek bari samaji burai bngya hai jo k logon k zehnon ko deemak ki tarha chaat k unki soch ko khrab kr raha hai. Ajkal taqreeban hmari 60% youth is trend ka hissa bn kr kisi na kisi tarha isko apnati hui nazar arahe hai or freedom or modernization k naam pe asal mein maghribi mumalik k is behaya or besharam trend ko farogh derahe hai.

        Par sawal ye hai k is silsily me zyada qasoorwar kon hai hamara media ya social media, jsne apas me raabty ko nihayat asan bnadya hai, ya hmara muashra ya phr hmari azad soch? 
    Par mere nazdeek is baat ka taayun krna bht mushkil hai k akhir asal qasoorwar kon hai.

                 ( BY: FAIZA PERVAIZ)

Comments

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"