"HIJAB MAKES A MUSLIM WOMEN                             COMPLETE"
Islam nay aurat ko hijab or parday ka hukum dia hai or hijab say mutaliq Quran pak may Allah k wazay irshad bhi mojod hai tabhi to hajj k doran bhi aurtain hijab zaroori karti hain.
 Hamary islami  mashray may hijab ko aurat ki khoobsurati or shanakhat samjha jata hai .Hijab Jo aurat ki khoobsurati may izafa to karta hai balakay boray or kharab zahniyat k malik logon ki nazroon say bhi mahfooz rakta hai .
Woh larkiyan Jo hijab karti hain un ki mashray may logo k darmiyan aik alag hi pehchan banajati hai .Hijab un ki shaksiyat ka aik  zaewar ban jata hai is k elwah woh hijab k zarye say Islam ki nomaindagi bhi kar rahi hoti hain.
Hamray mashray may bohat kam larkiyan aisi hai Jo fashion k liye hijab nahi karti balkay Allah ki raza or khushnudi hasil karnay k liye karti hai isi liye to unahin bohat si mushkilat ka samna Karna parta hai. 
May un larkiyon may shamil hon jin ko hijab ki waja say bohat si mushqilat ka samna karna  parta hai .shuro may sab logo nay mera mazak uraya k cartoon lago gi, kisi nay kaha wakti hai jald shok khatam hojaye ga,to kisi nay kaha fashion k tor per kia hai lekin meri pheli  tarjih hijab raha. may nay kesi ki na suni or bila akhir apnay maqsad  may qamyab hogaye .Hijab nay meri shaksiyat ko nikhara  lekin baz dafa mujh jaisi  aisi bohat si larkiyon hain  jin kay rishtay sirf is bina par khatam hogaye k woh hijab karti hain ku  k aj kal to larkay apnay liye larki ko  khud dekh k hi pasand kartay hain or dosri janib unhain woh larkiyan  achi lagti hain Jo modern or magribi tarz k fashion or un jaisay tor tarikay apnati hain maslan baal
kholna, chotay chotay kapray pehna,
 larkon say batay Karna wagiara wagaira .
   Is k elawah  meri behan jaisi bohat si larkiyan hain jinay shadi k bad apnay shohar or susral walon ki khushi hasil karnay ki waja say apna hijab utarna parha.
Khanay KO tu hum muslaman hai lekin ham Islam k asoolon per amal nahi kartay or agar koe karta hai to us ka mazak uratay hain or unhain itna majboor kar daitay hain k bila akhir woh bhi un hi jaisay hojatay hain.
Aj kal hamaray mashray may ourat ka jo ahtram khatam hota ja raha hai or un k sath narwa salooq kiya ja raha hai meray nazdeek in sab baton ki sab say Bari waja ya hai k hamri aj ki muslaman ourat apni kadar o manzilat, apnay rutbay or parday ka khayal nahi karti tabhi to us ki izat ko koe bhi pamal karnay ka har koe  soch laita hai. 
Agar hamari muslim ouratain jab tak magribi taraz ko nahi chorain  gi or Islami asoolon par nahi chalin gi to anqarib Muslim or gair muslim ouraton may farq mit jaye ga or muslim auratain apnay pehchan Kho dain gi. yah bat hum nay soni hai k
 Jis ourat ki khusbo ko agar koe  namahram mard sungh lay to  us ourat ko janat ki khusbo naseeb nahi hogi to phir hum  soch bhi nahi saktay k woh larkiyan jo bal khol k or fashion kar k ghar say bahar nikalti hain to unhain Allah kay kis kis azaab ka samna Karna parhay ga
"ZARA SOCHIAN"
                                                            
Written by. (FAIZA NASIR) 



Comments

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"