CYBER CRIME BILL

  Aj Kal k dore may social media internet ka sab say eham or bunyadi hisaa ban gaya hai jis k zarye pori dunya k lakhon or croroon afrad ba asani aik dosray say bagair koe mali wasail k apnay khayalat ,nazaryaat or ahsasaat ka izhar kartay hain is k elwah videos, picture or songs wagaira aik dosray ko share kartay hain. aj kal yah sub kam sirf touch  or click say baasani hojata hai. Ab
  aisi bohat si device agye hain jin may (smart phone, laptop, iPad ) shamil hain
In sab chezon ki waja say internet ko istaimal karna intaihai asan hogaya hai jis say  pori dunya aik global village  ban gaye or sub internet k jal may phas gaye.  

Aik taraf to social media k fawaid hain to dosri taraf is k nuksan bhi hain Ku k baz dafa log internet k zarye say anjanay may aisay jurm kar jatay hain jis ki unhay khabar bhi nahi hoti k unho nay cyber crime jaisay baray jurm ka irtaikab kar liya hai  is k elawa kuch jaraim pesha afrad  nay apni kharab zahniyat ki waja say social media par intaishar barpa kardia hai. Aisay afrad aye din you tube ,facebook or degar website pay fahash mawad upload kartay rahtay hain to kabhi internet k zarye say lot mar , dakaiti,logo ki kirdar kashi or data hacking wagaira jaisay jurm kartay hain. Jis ka jab dil chata hai aik dosray ka griban pakar laita hai or uni ki izat KO pamal kardaita hai. 

 Jab jurm hota hai to usay roknay k liye qanoon bhi banaya jata hai isi tarah cyber crime ko roknay k liye pori dunya may cyber law or cyber crime act banaye gaye ta k is jurm ko roka ja sakay or mujrimo ko lagam dali ja sakay . 
 Dunya k taraki yafta mumalik may cyber crime law ko aye hoe arsa hogaya lekin Pakistan may internet ki waja say cyber crime bil bhi late aya .Pakistan may Kae bar cyber crime act ko bananay k liye koshish ki gaye lekin kamyabi nahi hoe  ab 2016 may finally  panjab Assembly may arakeen ki kasrat e haq-e-rae say cyber crime bill manzoor hoa. 
Is bill may Jo panbandiyan lagaye gaye us k chand nakat ya hain 


  1. Kisi bhi shakhs k mobile phone ,laptop wagaira ko bila ijazat use karnay, us ka data  copy karnay or data KO nuksan pochanay ki sorat may 3 say 5 sal qaid or jurmana. 
  2. Mulki salmiyat ko nuksan phochanay par 5 say 7 sal qaid or bhari jurmana
  3. Nafrat angaiz taqreer karnay per 5 sal qaid or 1 crore jurmana. 
  4. Internet k zarye  dashtgardon ki funding karnay walo pay 7 sal qaid. 
  5. Gair qanooni sim ki farokht pay 4 sal qaid. 
  6. Internet kay galat istaimal or mobile phone tampering pay 3 3 sal qaid or jurmana
    Is k elwah degar or sazain bhi hain lekin ab sawal yah banta hai k ya  bill  paish to hogaya lekin woh tamam log Jo in  jurm ka irtaikab kar chokey hain un k khilaf  akhir karwai hogi kab? Ku k is tarah k bill sirf Assembly may pass to hojatay hain lekin amal daramad nahi hota. Is bat kay  wazhay saboot yahi hai k itnay din guzar gaye is bill ko paish kiye hoe lekin hum aj bhi agar you tube, Facebook or digar website kholain to hamain abhi bhi  Kaye fahash videos or digar mawad aik click per hamaray samnay nazar ajata hai jis say yah pata chalta hai waqai un logon k khilaf koe karwai nahi hoe. 

Dosri taraf hamaray woh hukmaran jinho nay sirf is liye ya qanoon banaya k log inhain galyian na dain lekin hamaray hukmaran khud aik dosray ko  apas may twitter par galiyon daitay rahtay hain jab in chand ginay chonay hukmaran k khilaf karwaye nahi hoe to hazaroon or lakhoon logo KO kesay pakra jasakta hai .yahan tak k dunya k powerful mumaliq  bhi cyber crime Kay khilaf kuch na kar sakay to hamaray qanoon nafiz karnay walay idaray jo aik chore nahi pakar saktay woh hackerz ko kesay pakrain gay. 
In tamam juraim ko roknay ka sirf aik hi hal hai k sirf qanoon pass karna kafi nahi balkay hamain apnay mashray ki ikhlaqi bunyadon par tarbiyat karni hogi or khas tor per waldain ko apnay bachon ki soch ko bhetar banana hoga ,un ko Islami qawaneen k paband banana hoga is k elawah hakumat ko cyber crime say mutaliq agahi daini hogi.
By :FAIZA NASIR

Comments

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"