Pakistan k news channels

Pakistan k news channels ka agaz yon to Ptv (pakistan telivision corporation) say hoa. Ye kadeem waqton  ka phela news channel tha laken ab jadeed taraki yafta dor may news channels ki tadad hazaroon may hogaye hai .Ab Pakistan  may urdu news channels k elawah or bhi degar zaban may news channels agaye hain.

News channels phelay ki nisbat ab zayada entertaining,sansani khaiz,khubsoorat or glamorous andaz may news daitay hai or mukhtalif new technologies ka istaimal kar rahay hain jis say naazreen ko khabren sunnay or dekhnay may maza ata hai.


Mojuda dor k news channels ki nazron say koe khabar nahi chupti ku k media channels k reporter or cameraman har jaga har waqt mojod  hotay hai or channels ko update daitay rahtay hain or is tarh channels lamha ba lamha agaah rakhta hai apnay nazreen ko lekin ab k dor may media channels ko khatra bhi bohat hai ae din ya khabar ati rahti hai k kisi party k karkunon nay media channels k dafatir par tor phor ki hai. Lekin yah to mali nuksan hai baz dafa to jani nuksan bhi uthana parhta hai news channels k numaindon ko jesay k bomb blast may bohat say reporter or cameraman zakhmi or janbahakh hogaye hain.


News channels ki yon to bohat si khidmat hain lekin aj kal k news channels rating ki dor may lagay hoe hain. Jis ki misal to hum sub ko pata hai k " sab say phelay hum, hum nay yah khabar sab say phelay dekhai hai , ya number 1 News channel hum hainy" is tarah k jumlay ziada tar har news channels kehty hain apnay channels ki rating barhanay k liye.


Phelay kay news channels ki anchor nihayat tahzeeb yafta thi or bohat hi bahtreen libas phanti thi jis say hamari sakhafat numaya hoti  thi lekin aj kal k  kuch news channels ki anchor bohat hi behoda or tehzeeb say hat kar libas pahanti hai jis say logo pay galat asar parh raha hai. 



Ab to khabron may ethics k khilaf kisi bhi news report may sad song dal k us news ko or ziada sad banadia jata hai sirf sansani khazi phelanay k liye, ya is tarah k jumalay istaimal kiye jatay hain jis say urdu zaban mutasir hoti hai is k elawah khabar ko  zor zor say or chekh chekh k biyan kiya jata ha jis ki waja say logon may khabar sunnay ki dilshaspi kam hoti ja rahi hai or ab to  news channels k baz talk show k anchor bohat hi ghalat zaban istaimal kartay hai or batamizi kartay hain jaisay anchors may mubashir lukam or ary k kuch anchor bohat batamiz hain . Is k elawah kabhi kabhi ghalat khabar jo sirf afwah hoti hai usay break kar datay hain jesay hal hi may ary k anchor person "Doctor  Shahid Masood" par 40 din ki pabandi lagaye gaye hai ku k unho nay sindh k judge k baray may ghalat bola tha. 
Ab aik news channels dosray news channels ki kamzori ko bayan  or necha dekhanay may agay hai jaisay ary or geo apas may aik dosray k khilaf boltay rahtay hain. Hamara media apas ki laraiyon may laga rahta hai itaihad hi nahi hai channels may  or jab media mutahid nahi hoga to woh mashray may kia acha karay ga . Is k elawaha channels nay apni apni party ko support karna shoro kar dia hai jesay ary imran khan ki himayat karta hai jab k geo nawaz sharif ki party ki himayat karta hai.In sab bataon ka aik hi matlab hai k hamara media janibdar ho k khabrain deta hai apni pasand or na pasand ka khayal karta hai.



Ab to entertainment k nam pay dekhaye
janay walay program may bhi bahayae dekhaye jati hai is k elawaha bohat say crime shows walay program may jurm ki agahi k elawaha jurm karnay k muktalif tarikay dekhatay hai jis ki waja say naye generation par is ka galat asar parh raha hai. 





 Ab news channels k baray may or kia kaha jaye k ya channels azadi -e- sahafat ka galat istaimal kar rahay hain to kia galti karnay walon ki pakar nahi honi chaye? kia un channels pay pabandi nahi lagni chaye jo janibdar or hakaiq say hat kar khabar daitay hain? Or kia Hukumat -e -Pakistan ko in cheazon pay koe action layna chahiye ya nahi? 

           (BY FAIZA NASIR)
                            (MA.PREVIOUS )

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"