"KARACHI MEIN SAFAI MUHiM"

       
  Karachi Jo k Pakistan Ka sbse bara sheher hai kachra yahan k logon k lye kai mahino se ek bohot bara masla bana hua hai iski safai k liye mukhtalif logon or falahi idaron ne apni safai muhim Ka aaghaz kya Tha jin me sbse pehly march mein ek siyasi party MQM k rehnuma Farooq Sattar ki janib se shuru hony wali kachra safai muhim thi Jo k chand din k baad hi nakaam hogae is k elawa kae logon ne zaati tor per is sheher ko saaf krny Ka zimma uthaya jinme Aalamgir Ka naam sare fehrist h unki is muhim Ka naam fix it tha is k baad kae logon ne Facebook pe karachi safai muhim k naam se different pages bnaye or logon ko apna area saaf rakhny k lye motivate kya or sath sath is safai muhim k lye Facebook k hi zariye volunteers bhi hire kiye gaye.
          Is k baad saabiq wazeere aala Sindh Syed Qaim Ali shah ne apni safai muhim Ka aaghaz kya or 3 din me Karachi ko saaf karny Ka hukum jaari kiya par in 3 din me koi khas kaam na hosaka or ye muhim b naakaam hogae baad me saabiq wazeere aala Sindh Ka ye bayan samny aya k Karachi me bohot zyada kachra hai Jo itni jaldi saaf nhe kiya jasakta is k baad naye wazeere aala Sindh Syed Murad Ali Shah ne bhi Karachi sheher ko saaf krny Ka hadaf uthaya par WO bhi nakaam hogye phr baad me unhone bhi yahe bayaan jari krdye k kachry ki safai me mazeed waqt lagega par is per kaam jaari hai.

          Ye kachra Karachi k lye ek bohot bara masla bngya hai kyun k ab koi bhi gali ya road aesi nazar nhe aati jahan kachra mojood naa ho yahan tk k hospitals ,schools, park, fire brigade office k bahar bhi kachron k dhair lage hoty hain Jo k logon k lye beinteha pareshani Ka baais ban rahy hain hospital k baahar mojood kachron ki waja se patients ki sehet par bhi bohot bura asar par raha h or school k bahar pary kachron ki waja se masoom bachy bemar par rahy h or logon k chalny k lye bnai jany wali footpath bhi ab kachra phenkny ki jagah ban chuki hai or kch jagahon par jb is kachry Ka jama kr k jala dya jata hai tb issue khatarnak gasses nikalti hain Jo hawa me shamil hojati hain or maahol ko gard aalood krdeti hain.

        Ab barish k baad to in jaga jaga kachry k dhair mojood hony ki waja se in kachro se shadeed smell aany lagi h or beemaryon me bhi izafa hua h
is kachry k dhair ko saaf krny k lye haal hi mein Junaid Janshed ne Faisal Quraishi or degar famous personalities k sath mil k apni safai muhim Ka aaghaz kya tha par is falahi kaam ko nakaam bnany ki koshish ki gae or police ne in k 2 workers or machinery ko bhi qabzy me lelya jsper junaid jamshed or un k sathyon ne ehtajaj bhi kiya.


         Wazeere aala Syed Murad Ali Shah ne Karachi ki safai k lye logon se bhi help mangi hai k WO apny tor per bhi Karachi ko saaf rakhny ki koshish Karen or apny ilaqy ko khud saaf rakhain q k apny ghar ki tarah apny ilaqy ko saaf rakhna bhi hamara farz hai par aj kal roads per kachra phenkna hmara mamool ban chuka hai or dekha jaye to is kachry k dhair lagany me government k sath hamara bhi bohot bara hath hai kyun k hum mein se kae log to sweeper rakhna pasand nhe karty bal k apny hi parosyon k gharon k samny kachra phekny ko apni shaan samajhty hain or khaas tor pe jahan per bary bary huroof me likha hota h " yahan kachra pehnkna mana hai" wahan to unhen kachra zaroor phekna hota hai yun kachra phekna to hamari routine ban gae hai or humne apni hadees ko bhi faramosh krdya hai k:
                  " Safai nisf emaan hai"

           Different NGOS ne bhi Karachi safai muhim Ka aaghaz kya hai or logon se apny area me kachra saaf naa hony ki soorat mein unse contact krny ko kaha hai isi tarha kuch channels ne bhi logon se kaha tha k WO apny area mein kachra saaf na hony ki soorat unhen uski pics bhejen . degar idaary apny tor per kachry ki safai mein hissa lerhy hain par government is maamle me kuch pechy nazar arahe hai or haal hi mein ye khabar bhi saamny aae hai k "JAAM CHAKRO or GOND YAAS" ye woh jagahen hain jahan par poory Karachi Ka kachra phenka jata h lekin ye jagah kachry se puri tarah bhar chuki hai or isme mazeed kachra phekny ki jagah nhe hai ab ek bohot bara masla ye hai k ab Karachi Ka mazeed kachra kahan phenka jaayega or hud to ye haik U.C k mulazmeen ko salary na milny ki waja se unhone hartal ki dhamki bhi di hai k agar unhe jald salary na mili to wo kachra nhe uthaengy or agar aesa hua to karachi ka pata nhe kya haal hoga ya to bachi kuchi sarak bhi kachra khaana banjaegi.

          Is silsily mein government ko koi khaas iqdaam uthana hoga or sbko is masly k hal k lye mil k kaam krna hoga or ek bari muhim Ka aaghaz karna hoga ta k Karachi ko saaf kya jasaky or logon ko saaf suthra mahol provide kya jasaky.

   Pic courtesy of 2,6,7,9,11,13 Faiza pervaiz

Comments

  1. Assalam 0 Alaikum mein Karachi safai muhim mein aap ka saath dena chahi hun

    ReplyDelete
  2. AHB YAEH KACHRAAH MUHIM PUURAEH PAKISTAN MAEH... sd, Opinion YAEH RAMDAN SAE PAEHLAEH.. CORONA BHIEKHATAHMHOUH.. karachi.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"