"A CONFLICT AFFLUENT FROM CENTURIES"

INDIA 

PAKISTAN


          India or Pakistan do aese parosi mulk hain Jo barson tk sath rehny k baad 1947 mein alehda huye or 1947 ki azadi k baad se hi donon mulkon k darmyan ek tanazah chalta hi araha hai or kae baar is tanazah ne shiddat ikhtiar ki or donon mulk jang k maidan mein amny samny huye jnme 1948,1965,1971 ki jangen naqabile faramosh hain 1948 me Pakistan ne India se jang kr k Kashmir ko azad krwaya tha Jo aj Azad Kashmir k naam se jana jata hai or 1965 ki jang me Pakistan ko kamyabi hasil huye thi jb k 1971 ki jang me India ko Fatah hasil huyi js k natejy mein Bangladesh Pakistan se alag hogya.
         Is k baad donon mumalik k atomic power bnny k baad in k darmyan kbhi jang to nhe hui pr shadeed tanazah chalta hi aya hai or aksar hi border per firing k waqiaat bhi samny aaty rahy hain.

                In kasheeda halaat ka sbse zyada asar showbiz or cricket par parta hai.
         kae baar donon mulkon ne ek dusry ki janib dosti Ka hath barhaya hai

par ye dosti kbhi bhi zyada din chal nhe pati or hr baar hi India ki janib se ek naya tanazah janam leleta hai kyun k Indian government or Indian media ki shuru se hi ye fitrat rahe hai k WO apny mulk mein hony Waly kisi bhi nakhushgawar waqiyah Ka ilzaam bina tasdeeq k Pakistan Pr laga dety hain phr chahy WO Mumbai blast ho, samjhota express Ka waqiah ho,  Pathan kot Ka waqiah ho, ya uri hamla ho, ye to bary waqiat hogye pr hud to ye hai k inhe insanon k sath janwar bhi Pakistan k jasoos nazar aaty hain kbhi bechary kabootar ko jasoos qarar de dya jata hai to kbhi oont ko or abhi haal mein hi inhe ek kashti bhi mili thi inhe usme bhi khadshah tha k ye Pakistan ki hosakti hai. Indian media ki ghair zimadarana sahafat Ka ye alam h k unhon ne 2013 mein Pakistan ki ek siyasi jamaat k MPA Manzar Imam ki wafaat k chund maah baad ye khabar nashar ki k Manzar Imam India mein Pakistan k lye jasosi kr rahy hain jb k inki death ki full coverage media ne khud ki thi Indian media taasub or sansani khaizi phelany mein shuru se hi bht mashhoor raha h is k lye wo ek mary huye insan ko bhi zindah krsakta hai.

          Jb k 3March ko Indian navy or intelligence Ka ek officer Kulbhooshan Yadav Pakistan k soobay Balochistan  mein jasoosi krta pakra gya or India phr bhi hamesha Pakistan per hi ilzaamaat lagata rehta hai jb k Pakistani fojion ne mulk me aany Waly Indian drown ko maar giraya pr is baat Ka bhi kbhi shor nhe machaya.

          Pakistan or India k darmyan barson se chalny waly is tanazah or kasheeda taaluqat ki kch bari wajoohat hain jnme Sindh taas Muaahida, Siaacheen or sbse bari wajah Masla e Kashmir hai.
*SINDH TAAS MUAHIDA: Ye Pakistan or India k darmyan azadi k waqt daryaon ko le k hony wala ek muahida hai pr India aksar hi iski khilaf warzi krta hai or jb kbhi India mein selab aata hai to woh iska rukh Pakistan ki janib krdeta hai or abhi haal hi me kasheda taaluqaat ki bina per India ne Pakistan Ka pani bnd Krny ki bhi dhamki di thi or abhi 13 November ko India ki janib se Daryae Chenab ka pani band krny ki bhi khabren samny aae hain.
*SIYACHEEN: Ye wO pahaar hain jahan saalon se donon mulk k fojyon k darmyan aksar firing hoti rehti hai.
*MASLA E KASHMIR: Isy dono mulkon k darmyan kasheeda taaluqaat ki sbse bari wajah kaha jasakta hai Kyun k maqbooza Kashmir pe saalon se bharti foj qabiz hai jo begunah musalmano pe zulm dhaa rahe hai or kashmiri apni azadi k lye saalon se jaddojahad kar rahy hain or jsme pakistan unka hamesha se hi sath deta aya hai or Aqwame Muttahda mein bhi kashmirion k haqoq k lye awaz uthata aya hai isi wajah se aksar Pakistan or India k darmiyan taaluqat kasheeda hojaty hain.

        Abhi 95 days phly Kashmiron ne Bharti muzalim k khilaf azadi ki tehreek shuru ki js k baad Indian fojion k zulm me mazeed izafa hogya Pakistan ne jski purzor muzammat ki or Aalmi satah par kashmirion k haq k lye awaaz uthai or Pakistani awam ne bhi kashmirion Ka sath deny k lye apna ehtajaj record krwaya per India ne Uri hamly Ka ilzam ek baar phir bina tasdeeq k Pakistan pr laga dya js k baad donon mulkon k darmyan kasheedgi apny Urooj ko pohnch gaye or Bharti intehapasand rehnumaon or media ne bhi Pakistan or nawaz shareef k khilaf bayan bazyan shuru krdi or Narendar Modi ne Pakistan ko jang ki or Pakistan ka pani band krny ki bhi dhamkiyan di jska Pakistan ki janib se bharpur jawab dya gya pr jang ki khabren samny aaty hi dono mulkon mein kasheeda suratehaal paida hogae India ki intehapasand jamaaton ki janib se India me mojood Pakistani fankaron ko India chorny ki dhamkian milny lagi or mahira Khan or fawad khan ko filmon se nikalny ki bhi dhamkyan mili js per Indian actors Om Puri or Salman Khan ne Pakistani fankaaron k haq mein bayan dye to kch intehapasand jamaaten un k bhi khilaf hogaen or unhe b dhamkiyan milny lagen.

          Pakistani fankaron ko india se nikal jany ki dhamki milny pe pakistan ki janib se bhi raddeamal samny aya or Pakistan mein Indian movies per band lag gaya or Indian channels bund krdye gaye Indian exporters ne bhi Pakistan ko tamatar bechny se inkaar krdya or Pakistan ne bhi Indian dresses import krny se mana krdya.
         Us k baad haalaat ki kasheedgi tb mazeed barhi jb raat k andhere mein India ne control line ki khilaf warzi karty huye LOC  pr firing ki jisky baad donon mulkon ki janib se firing Ka tabaadla shuru hua jisky nateejy me 2 Pakistani foji or 14 Indian foji mary gaye or kaye zakhmi bhi huye or ek Indian foji boklahat k aalam mein Pakistan mein agaya jisy arrest krlya gaya . Is control line per firing ko chupany k lye India k General Dilbar Singh ne isy Surgical Strike Ka naam diya jisy kch dinon baad Narendr Modi ne khud apny hi bayan mein jhoota saabit krdiya or Pakistan k DGISPR ne is surgical strike k daawy ko jhoota saabit krny k liye media ko in muqamaat Ka Dorah krwaya jahan per Bharat ne surgical strike Ka daawa kya tha or media ne wahan k logon se bhi baat ki jisse ye baat saaf hogae k koi surgical strike nhe hui.
           Per in kasheeda haalaat Ka asar donon mulkon ki awam pr bhi khoob para Pakistan mein modi k putly jalaye gaye to India mein Nawaz Sharif ko 10 saron wala Raawan bana k us k putly ko jalaya gya or social media per bhi logon k darmyan khub behes chali or siyasi rehnumaon or fankaron k bayan or tweets Ka silsilah bhi jari raha or Pakistan ko ek terrorist state saabit krny k lye world level per petition bhi daair ki gae is k jawaab mein Pakistan ne bhi ek petition daeer ki jisme kaha gaya hai k Pakistan mein dehshatgardi phelany mein India Ka hath hai.


          Taqreeban 1 month baad America or Aqwame Muttahda ki koshishon  se ye kasheeda halaat kch behtr huye thy  or Narendar Modi ne bhi  Pakistan se contact kr k Nawaz Shareef ko paigham pohnchaya tha k WO haalaat mein mazeed kasheedgi nahe chahty us k baad donon mulkon k darmiyan jang ki soorat to tham gae thi lekin India ki janib se aksar hi control line par firng kr k haalat ko dobara kasheeda krdya jata hai or India ki BJP or MNS  party ne Indian filmon se Pakistani actors ko nikany k lye unhe shadeed dhamkiyan di jis ki wajah se RAEES film k producer Ritesh Sidhwani ne pressure me aa k Mahira Khan ko film se nikal dya jb k  Fawad khan ki film AE DIL HAI MUSHKIL se Fawad Khan ko replace krny k lye bohot pressure daala gaya jb k is film ko release krny k ewaz Karan Johar ko 10 crore rupy deny pary or unhon ne apny tweet mein ye paigham bhi dya hai k wo aenda kisi Pakistani fankaar ko apni film mein cast nhe karengy.
 In films  k elawa Ali Zafar ki DEAR ZINDAGI or Rahat Fateh Ali Khan ki LAALI kI SHADI MEIN LADDO DEWANA bhi mutasir hui hain.

          Pakistan k khilaf Indian media or wahan ki inteha pasand jamaaten ek hochuki hain Jo awaam ko bhi Pakistan k khilaf kr rahe hain or ab unki awaam bhi un k sath hogae hai.

          Yun to donon mulkon k darmyan khushgawar taaluqat donon mulkon k liye hi zaruri hain kyun k donon mulkon k darmyan bohot si chezen import or export hoti hain or kasheeda halaat Ka asar dono mulkon k muaashi halaat per bhi parta hai. Aman dono mulkon ki zarurat hai or donon mulkon ki awaam bhi aman chahti hai kyun k India mein ek bari taadad mein musalman rehty hain jnka koi na koi rishtedar Pakistan mein zarur mojood hai to is tarha dono mulkon ki awam ek dusry se jury huye hain or Pakistan to shuru se hi dono mulkon k darmyan khushgawar taaluqat Ka khwahishmand raha h lekin India ki janib se agar zabrdsti jang ki suratehaal paida ki gae to Pakistan iska jawab bhi zarur dega. Aman k lye dono mulkon ko hi aqalmandi or barai Ka saboot dety huye josh k bajaye hosh se kaam lena hoga kyun k agar jang hui to nuqsaan donon taraf hi hoga or is silsily me media ko yellow journalism or ek dusry pr sirf ratings k lye bilawajah ilzaam tarashi krny or awam mein nafrat ki aag bharkany se baaz ana hoga or zimadarana sahafat Ka muzahira krna hoga.

                      (FAIZA PERVAIZ)

               

Comments

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"