EID-UL-AZHA KI RONAQAIN

      EID-UL -AZHA KI RONAKAIN


Eid-ul-Azha hamara mazhabi tehwar hai jo Hazrat Ibrahim (A. S) ki sunnat or un ki qurbani ki yaad may manaya jata hai ku k Qurbani nam hai naiki kamanay or Allah ki raza hasil karnay ka jabhi to har saal lakhoon croroon muslman yah fariza e qurbani ada kartay hain.




Eid ul azha yon to pori dunya may manaye jati hai par Saudi Arab k baad Pakistan dunya Ka dusra mulk hai jahan Qurbani itni mazhabi josh or jazbay k sath ki jati hai. Pakistan k deegar shehron ki tarha karachi main bhi Qurbani nihayat hi josh or kharoosh k sath manye jati hai. Waisay to poray mulk may hi mawaishi mandi qaeem hai lakin karachi ki super highway ki mandi Asia ki sub say bari mandi kehlati hai .
Karachi ki mandi may lakhon janwar laye jatay hai or har nasal ka janwar poray Pakistan say ata hai is liye wahan logon ka is qadar rush hota hai k sirf sar hi sar nazar atay hain
Mawashi mandi may to ab baqaida gaye ki ramp walk hoti hai is k elawah aisay aisay tent or lighting lagaye gaye hain k aisa lagta hai k kisi ki shadi horahi hai ya phir dance party horahi hai. Vip tent may to lakhon carooron ka janwar milta hai or is qadar mehanga janwar milta hai k aam admi to sirf dekh hi sakta hai
                  .


Eid -ul-Azha ki ronakhon ka aghaaz to bakra eid k chand dekhtay hi shuro ho jata hai log jaldi jaldi mawaishi mandion ka rukh kartay hain or achay say acha janwar latay hain gharz har taraf gaye ,bakray, oonth, or dhumbay gali, muhalay ,elakay or sarkon pay nazar atay hain. Fiza may har taraf gobar ki badbo or har galyon muhallon  may janwaron k chan chan ki awaz sunaye daiti hai .

Bachay to itnay ziada khush hotay hain k janwaron kay sath kheltay hain or un ko pyaray pyaray namon say pokartay hain or dosri taraf nojawan larkay to gaye ko nahlatay hain un ko jhonjhonay, payal, haar, gala band or beshumar chezon say sajatay hain. Har taraf afratafri or josh o kharosh nazar ata hai or khas tor par to chand rat ko to eid ka samaa hota hai .



Eid-ul-Azha par yah bat bhi qabilay ghor hai k aik taraf to log janwar lay k atay hain wahi dosri taraf kuch log aisay bhi hain jin ki khushiyan mand par jati hai ku k ya to un k  janwar chori kar liye jatay hain or wohi wapis mandion may bech deye jatay hai is k elawah bohat say log aisay hain jo janwar ki takkar ya maar say zakhmi, jahnbahaq hotaay hai or baz logon k to janwar hi bhak jatay hain ya sub un logon ki khushion ko pheeka kar daitay hai.


Eid -ul -Azha k moqay par bohat say logo ka karoobar chalta hai. Kahen Mosami qasaye nikal atay hain to  koe chooryan teez karnay ka karoobar karta hai ,koe janwaron ka jali doctor banjata hai, koe gosht ka keema banane ka karoobar karta hai or aj kal ek naya karobar bhi shuru hogya hai k log apny qurbani k janwar Ka gosht hotels me dety hain or wahan se unse lazez pakwan Hunter beef, Bar B Q waghera bnwaty hain restaurants mein bhi Boht rush hota hain. gharz ya log is mahinay may itna kama laytay hain jtna to poray saal may nahi kamatay.


Is baar Eid-ul -Azha pay deegar news channels ne apni campaign chalai jis may logon ko apnay janwar k sath taswer or video khench k unhe whats'app pe send kana hai logon nay bharpor tarikay  say is campaign me shirkat ki or apni video or taswerain apnay apnay janwaron k sath bana kr mukhtalif channels ko send ki.


Eid ul Azha par jahan josh o kharosh nazar aya wahen yah bat bhi qabily ghor hai k ajkal qurbani sirf dekhaway k liye ki jati hai ku k log apnay janwar k sath selfie kechwatay hain or f.b or what's app per upload kartay hain or apnay janwar ki numaaush karty hain inki barayee kartay hain or lambi lambi chortay hain k un ka janwar itnay ka hai ab  Allah ki raza hasil karnay k bajaye  qurbani  dekhawa ban gaya hai  ya phir kch log to srf saala saal gosht fridge may jama karnay k lye qurbani krny lagy hain.


    "  ALLAH SUB KI QURBANI KO QABOOL     KARAY "

                           (AMEEN)


                               Written by (Faiza Nasir) 
                                                   M. A previous

Comments

Popular posts from this blog

Different Wedding Cultures Of Pakistan

"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"