"MORNING SHOWS IN PAKISTAN"
Ye basically ek entertainment show hai iska kaam logon ko entertainment k sath information bhi provide krna hota hai. Ajkal Morning shows womens or specially house wives ko target karty hain or ye unhe entertainment provide krny Ka Boht ahem zariya hain or ye un k lye entertainment hasil karny ka ek sasta tareqa bhi hai rozana Monday to Saturday subha 9 bjty hi taqrebn gharon me khawateen morning shows k intezaar mein TV sets k aagy beth jati hain kch gharon me to subha Ka nashta bhi morning show dekh kr hi hota hai or Ajkal to koi bhi tehwar ya occasion ho wo morning show k Bina adhoora lagta hai show me tehwar ki munasibat se program ya segments arrange key jaty hain. Pakistan mein morning show Ka aghaaz January 1988 mein Mustansar Hussain Tarrar urf (chacha jee) k show "Assalam -O- Alaikum sary Pakistan or pyary Pakistan" se hua ye Pakistan Ka sbse pehla morning ...