"A CONFLICT AFFLUENT FROM CENTURIES"
INDIA PAKISTAN India or Pakistan do aese parosi mulk hain Jo barson tk sath rehny k baad 1947 mein alehda huye or 1947 ki azadi k baad se hi donon mulkon k darmyan ek tanazah chalta hi araha hai or kae baar is tanazah ne shiddat ikhtiar ki or donon mulk jang k maidan mein amny samny huye jnme 1948,1965,1971 ki jangen naqabile faramosh hain 1948 me Pakistan ne India se jang kr k Kashmir ko azad krwaya tha Jo aj Azad Kashmir k naam se jana jata hai or 1965 ki jang me Pakistan ko kamyabi hasil huye thi jb k 1971 ki jang me India ko Fatah hasil huyi js k natejy mein Bangladesh Pakistan se alag hogya. Is k baad donon mumalik k atomic power bnny k baad in k darmyan kbhi jang to nhe hui pr shadeed tanazah chalta hi aya hai or aksar hi border per firing k waqiaat bhi samny aaty rahy hain. In kasheeda halaat ka sbse zyada asar showbiz or cricket ...